Dosto Aaj me kuch aise Android Apps Ke bare Me batauga jo aapke mobile ki security ke liye  best hai. Aaj ke time sabke pass Android Smartphone hai or un Mobile Phones me important Data Bhi save rahta hai, but kabhi kabhi Viras aa jane ki wajah se humara saara data damage ho jata hai. But Aaj me Aapko kuch aise top security apps ke baare me batauga jo aapke android mobile ki surkhsha ko bada dege.  top security apps list 2016
 

security apps 2016
Top Security Apps For Android Smartphone. 2016

Android Mobile sabke pass hai or sabhi internet ka use karte hai par kabhi kabhi galat webiste par click kar dene se humare Mobile me virus aa jata hai or jisase humari saari jankari data sab kuch hack bhi ho jata hai. par aisi hi khataro se bachane ke liye hum aapko top security apps for android ke baare me batayege. jinaki madad se aap apne data ki surksha kar sakege or apne smartphone ko bhi protect kar sakege.

Top Security Apps For Android Smartphone:- 

Aaiye Jante Hai Android Smartphone ke Liye kuch Behatreen Security Apps ke baare me jo kerege aapke smartphone ki surksha. or bachayege aapke mobile ko khatro se.
1. Kaspersky Internet Security :- 

(adsbygoogle = window.adsbygoogle || []).push({}); Kaspersky Internet Security Apps ek aisa aap hai jo aapko internet se aane wale virus se bachata hai. Ye aapko Real Time PRotection deta hai. Matlab ki jab aap internet ka estemaal karte hai browering karte hai to kaspersky apps apko internet ke khataro se bachata hai. ye aapke Email or whatsapp Ki LInks ko scan karta hai or unko check karke safe rakhta hai,
 waise to ye app aap play store se free download kar sakte hai but esme ek or version aata hai jo ki paid hai usko download karne ke liye aapko rs dene padege. mere hisaab se aap free version hi use kre kyuki wo bhi same waisa hi hai.
2. CM Security:- 

Security Apps ki List me CM Security App Bhi Top par aata hai. kyuki Cm security app me 2 feathure hai. pahla to ye ki yah Mobile ki Security Karta hai or dusra yah hai ki ye ek App lock ki tarah bhi use kiya jata hai. waise to aapne internet par bahut saare security apps dekhe hoge par cm security app un sab me first number aata hai kyuki eski scanning bahut fast hai cm security aapke mobile ko bhi protect karta hai or aapke mobile me app lock ki tarah bhi kaam karta hai,
Cm security apps ki khariyat ye hai ki jab aap eske lock me galat password pettern dalte hai to ye aapka photo capture kar leta hai or usko save kar deta hai. jisase hum baad me jaan sakte hai ki kisne humara mobile liya tha or lock kholne ki kosis ki thi. Play store par Cm Security App 50 crore se bhi jyada baar download kiya gya hai.
3. Avast Mobile App:- 

Avast antivirus computer ke liye sabse accha antivirus sabit hota hai par Ab Avast me Smatphone ke liye Avast Mobile App Launch kiya hai. jo aapko smartphone ko internet se aane wale virus se bachata hai or sath hi sath aapke Mobile storage me hone wale malware or virus ko bhi delet kar deta hai.

Avast Mobile App me apko lock ki bhi suvidha milati hai jisase Aap apne mobile me app lock lga sakte hai. avast mobile app smartphone ki security ke liye behtreen  app hai. Play store par avast mobile app ko 50 crore se bhi jayda baar download kiya gya hai.

4. 360 Security App :- 

360 Security haal hi me bahut popular hone wala security App hai ye 360 security App din pe din popular hota ja rha hai or eske user bhi bahut jyada hote ha rha hai. 360 security App aapke mobile ko virus attack se bachata hai or internet se hone wale khataro se bhi sawdhan rakhta hai, 360 security app me bhi aapko app lock ki suvidha milati hai. top app ki list me 360 security app bhi samil hai.
360 security App ko Play store par 5 me se 4.6 rating mili hai.

Friends ye The “Android Mobile KE liye Top Security App” en security apps ko aap apne mobile me install karke apne mobile ki surksha bada sakte hai or internet se hone wale khataro se bacha sa kte hai.

Muje Aasha hai ki  aapko humari post “Top Security App for Android smartphone” jarur pasand aayi hogi. aisi hi majedaar jankaari pane ke liye daily visist kare. digihindiclub.com or jaane tech duniya ki saari jankaari hindi me.

Thanks for Reading….

By Ankur

Leave a Reply