Ab hum bhi janege ki pokemon game kya hai or ese kha se download kare or kaise khelte hai es game ko.
Pokemon Go App Kya Hai Or Es Game Ko Kaise Khelate Hai – 2016 |
Pokemon Go Kya Hai:-
Pokemon Go Ek free Game hai jo ki July 6 , 2016 ko niantic, inc. Name ki company ne launch kiya hai. ye game humari Location ke hisab se chalne wala game hai jisko chalne ke liye hume internet connection ki jarurat hoti hai or camera bhi on hota hai es game ko khelane ke liye, Pokemon Go ko khelane ke liye Android or Iso oprating system ki jarurat hoti hai. Etne kam samaye me etna popular hone wala ye sayad pahla game hoga.
Pokemon Go Kaise Khelate Hai:-
Pokemon Go ek Bahut hi popular game hai jo ki Android Iphone jaise mobile par khela jata hai, es game ko khelane ke liye humare mobile me GPS Mobile Data or Camera on hota hai. Pokemon game ko khelane ke liye humara data connect hona chahiye kyuki ye Internet se chalne wala game hai, Pokemon Go game me hume humari screen par dikh rhe pokemon ko pakdna hota hai. Jab hum mobile ko lekar kahi jate hai to GPS ki wajah se Game me dikh rha humara logo(Avtar) bhi chalne lagta hai, or jab koi pokemon aata hai to wo humare camera ki wajah se humari screen par show hone lagta hai jisko hume pakdna hai. camera ki wajah se hume aisa lagta hai ki hum hakikat me kisi pokemon ke sath Game khel rhe hai es game ko khelate waqt hume ekdam REAL jaisa Feel hota hai.
Also Read:: Android Mobile Battery Save karne ki Sabse Achhi Tips/Tricks
Also Read:: Video Editor Apps For Android Mobile Free – 2016
Pokemon Go ko khelane ke liye sabse pahle hume Game download karna hota hai fir game ko Open karne ke baad Game me Google Account se sign up karna hai fir uske baad game me Apne liye Avtar (logo,sticker) karna hota hai or us avtar ke dress colour degine sab set karna hota hai.
Ab Pokemon Go game ki screen par humari location ki jagah par humara avtar dikhayi dega jaise jaise hum chalege waise waise hi wo avtar aage badega or hume karna kya hai jaise hi mobile screen par koi pokemon dikhe hume uske pass jakar usko pakdna hai.
jaise jaise Pokemon ko aap pakdte jayege waise hi new new pokemon apki screen par show hone lagege or aapke game ki level bhi badti jayegi. es game ki sabse acchi ye baat hai ki es game ko khelte waqt hume aisa lagta hai jaise hum Real me kisi pokemon ko pakad rhe hai.
Pokemon Go ko khelne ke liye kya kya chahiye:-
- Fast internet connection,
- GPS (Globle Position Center) Feature
- Good Quality Camera
- Good Battery Backup Mobile.
- Best Mobile for Processing
To friends aap pokemon Go download kijiye or game ko khel kar bataiye ki Apko ye game kaisa lga.
Thanks For Reading,,,,