Dosto Aapke pass Android Smartphone To jarur hoga or usme bahut saare sensors bhi lage hoge. kabhi aapne socha hai ki aapke mobile jo sensors lage hote hai wo kya kaam karte hai kaise work karte hai, Agar aap ye sab janana chahate hai to aap humari post ko jarur pade, Aaj hum smartphone ke sabhi sensors ke bare me batayege ki konse sesors ka kya kaam hai or wo kaise kaam karta hai,
|
Android Mobile Sensor Ki Jankari Hindi Me – 2016 |
Android Mobile Ka Craze etni tezi se bhad rha hai ki logo ko jankaari hi nhi hoti ki wo jo mobile chala rhe hai usme kon kon se advance feature hai or wo unka estemaal or bhi alag kaam ke liye kar sakte hai, unme se kuch sensors bhi hai jinke baare me har kisi ko nhi pta hota ki sensors ka kya kaam hota hai or wo kab or kaise work karte hai,
Aaj hum aapko humari es post me sabhi sensors ke baare me batayege or batayege ki kaise aapke mobile me sensors work karte hai,
ALSO READ:- Picsart Editing Trick : Photo Ka background Kaise change kare – 2016
ALSO READ:- Facebook Par Apko Kisne Unfriend/Block Kiya Hai Kaise Pta Kare -2016
Android Smartphone Ke Sabhi Sensors Ki Puri Jankari:-
1. PROXIMITY SENSOR:-
Proximity Sensor Ye wo sensor hota hai Human ( व्यक्ति ) ke Hone wale Moment ke aadhar par kaam karta hai. Seedhi Bhasha me kahe to ye sensor vyakti Human ke Body ki Physical Moment ke hisaab se kaam karta hai. Proximity sensor ka kaam hota hai ki mobile ki Display ki brightness ko human ki body ke touch moment ke aadhar par adjust karna. Jab hum call par kisi se baat karte hai to Ear( Kaan ) ke pass Mobile le jaate hi mobile ki screen off ho jati hai. ye sab proximity sensor se hota hai.
Aap Es Proximity sensors se apne Mobile ki or bhi bahut sare feature ko handle kar sakte hai jaise ki. call recevie karna , Mobile lock karna unlock karna or bhi bahut sari chije kar sakte hai aap. Sidhi Bhasa me kate hai PRoximity Sensor Ka Pura Kaam Mobile Ki screen or uski Brightness ko Adjust karna hota hai,
2. PEDOMETER SENSOR:-
Pedometer sensor jyadatar Fitness gadget me dekhne ko mita hai kyuki ye pedometer sensor Body ki Fitness ki jankari deta hai, ye aaplke chalane ki seema ko batata hai uski jankari deta hai, Foot steps ki jankari matlab ki agar aapke mobile ye pedometer sensor hai to aap eski madad se jaan sakte hai ki aap pure din me kitne kadam chale hai, ye sensor aapke kadam ( foot step ) ko count karta hai. simple language me kahe to pedometer ek fitness sensor hai jo aapke body ke part ki jankaari aapko deta hai.
3. ACCELEROMETER SENSOR:-
Accelerometer Sensor ye ek Aisa sensor hai jo ki sabhi smartphone me Milta hai. Accelerometer sensor Apke Mobile ke motion Ki jankari Software tak pahuchata hai or batata hai ki aapne Mobile Kaise pakda hua hai. horizontally pakda hu hai ya vertically pakda hua hai. fir usi hisaab se aapke mobile ki screen rotate hoti hai. jab aap song sunte hai ya koi game khelte hai to phone ki screen Accelerometer sensor ki wajah se hi Rotate Hoti hai.
4. BAROMETER SENSOR:-
Barometer Sensor Bhi Health realted Sensor hai jo ki aapke body ke moment ki jankari store karta hai or fir apko batata hai ki aapne pure din me kitni engary waste ki ya aapne kitne chadhai ki mounten par or bhi jankari deta hai, es barometer sensor ka use jyadater Health Related Apps me kiya jata hai, Barometer Sensor ki madad se Aap GPS me apni Currect Location dekh sakte hai.
5. THERMOMETER SENSOR:-
Thermometer sensor Ek aisa sensor hai jo ki Temperature ki janakari deta hai. thermometer sensor ki madad se hum apne aas pass ke temprature jaan sakte hai but ye sensor bahut kam mobile me dekhne ko milta hai. jyadater sabhi mobile me ye sensor only mobile ke hardware battery wagerah ka temprature show krta hai, bahari temprature ki jankari dusre mahge mobile me dekh sakte hai.
6. GYROSCOPE SENSOR:-
Gyroscope sensor ka use mostley photo ko capture karne me mobile me game ko controll karne me kiya jata hai, Gyroscope sensor ki madad se hum 360′ Me Image Capture kar sakte hai, 360′ ke Angal me video bhi shoot kar sakte hai. jab hum mobile me koi game khelate hai to game ko controll krne ke liye mobile ko left right karte hai to game control hone lagta hai to ye sab esi sensor ki madad se hota hai..
7. MAGNETOMETER SENSOR:-
Magnetometer sensor aaj ke time sabhi mobile me mil jata hai or ye ek bahut kaam ka sensor bhi hai aap megnetometer sensor ki madad se magnet field wali disha jaan sakte hai, Matlab ki aap es sensor ka use ek compass meter ki tarah kar sakte hai, sahi disha jajane ke liye. east,west,north,south charo dikha ko jan sakte hai aap, magnetometer sensor ka use google map me aapki sahi location dekhne me hota hai, jab aap left right move hote hai to uski jankari google map me magnetometer sensor se pahuchati hai,
8. FINGERPRINT SENSOR:-
Fingerprint sensor Aaj ke time ka sabse popular sensor jiska use aaj ke letest mobile me kiya ja rha hai or mobile phone ki security bhi secure ho rhi hai esase, Fingerprint sensor ek aisa security sensor hai jo aapki finger se aapke mobile ko unlock krta hai or bhi bahut saare feature fingerprint sensor ke dwara secure kiye jate hai, fingerprint sensor ki madad se aap apne mobile me security lock lga sakte hai jisase lock kewal aapki finger ke touch karne se hi khulega or kisi ki finger se nhi khul payega. fingerprint sensor security ke tor par bahut hi badiya feature hai,
ALSO READ:- Internet से Free मे Calling कैसे करे Puri दुनिया मे Kisi भी Mobile पर। – 2016
ALSO READ:- Whatsapp Hack Kaise Kare:: How To Hack WhaTsapp Account (TRCIK) 2016
To friends ye thi “Android Smartphone ke All sensors ki jankari” jo ki aapki jarur pasand aayi hogi, or bhi aisi hi jankaari pane ki liye humari or bhi post ko pade, or apne dosto ke sath share jarur kare. thank you.